Chhote Business Ko Bada Kaise Kare


Chhote Business Ko Bada Kaise Kare

Nse  bse me apni company kaise list kare
Aise vyavasai jo apne vyavsayo ko naya mukaam dena chaahte hai desh ke vibhinna shahro me failana chaahte hai aur ek bade business house ke rup me viksit hona chaahte hai unke liye stock exchange ke dvara SME platform ki suvidha di gai hai chhote va manjhole vyavasai is platform se apni jugaad kar sakte hai 

Chhote aur manjhole upkramo (SME) stock  exchange ke madhyam se punji laane ki suvidha 2012 se hi de rahe hai iske tahat stock exchange ne BSE aur SME ke naam se aur national stock exchange ne nse emerse ke naam se sme platform banaya hai yah ek aisa platform hai jiske dvara chhote vyavasai apne sapno ko saakar karne ke liye bazaar  se aavashyak punji prapt kar sakte hai ve apni company ka IPO la sakte hai aur apne vyavasay ko unche mukaam par le ja sakte hai jisme na sirf corporate governense laakar balki achchhe va kushal vektiyo ko apne saath lekar professional tarike se pratishthit gharaane ke rup me viksit kar sakte hai.   

SME stock exchange par listing ki anivaryata 
  1. pichhli audit report ke anusaar nyunatam shuddh vaastavik sampati (net taingibal asset) 3 crore hona chaahiye. 
  2. networth nyunatam 3 crore rupay ka hona chaahiye. 
  3. pichhle 3 vittiya varsho me kam se kam 2 varsh me company ko laabh hona chaahiye. 
  4. post issu paid  up capital 3 corre rupay ka ho.
  5. company ko anivaary rup se  demate shares me hi trading sunishchit karna hoga.
  6. company ki apni corporate website hona chaahiye.
  7. pichhle ek varsh me company ke promoters me koi badlaav      nahi hona chahiye. 
  8. iske alaava company ko BIFIR me nirdisht nahi hona chaahiye aur na hi use samaaft karne ki yachika lambit hona chaahiye.  

SME ke liye sebi ne mukhya maandand 

public share holding : ipo ki kul punji ka 25% (nyunatam)

ipo ke subscriber (nyunatam ) : 50 niveshak 

aavedan ki nyunatam rashi : 1 lakh rupay 

nyunatam ipo sima : 3 crore, adhiktam : 25 crore 

niveshako ko labh 
sme platfprm par jaari hone  vale ipo me nivesh karnevalo 36% tak laabh mil chuka hai 3 se 6 mahine me laa sakte hai apnaa IPO 

                                          SME  IPO
listing karne ki parkirya 

marchent banker ki niyukti : ipo laane ki parkirya shuru karne me sabse pahle ek marchent banker ka chunaav karna hota hai yah marchent banker aapke company ke ipo nikaalne se judi lagbhag sabhi parkirya ko pura karne me aapki madad karta hai iski puri parkirya is parkar hai 

  1. punji me hissedari ka nirdharan karna aur usse judi dastavej taiyaar karna 
  2. jaruri vibhinna logo ko tay karna jaise Banker, rajistarar, market maker aadi 
  3. ipo ke prastav ko taiyar karna, dastavej ko exchange me jama karna 
  4. exchange se sahmati prapt karna, ipo ko logo ke liye kholne se pahle ki puri taiyari karna 
  5. ipo ki bandi ke baad shares ka alotment karna 
  6. stock exchange me suchibaddh aur trading shuru hona 
lagne vala anumaanit samay 

jaruri suchnaay samayanusaar uplabddh hone ki istithi me IPO lane ki parkirya ko pura karne me marchent banker ki niyukti ke baad kam se kam 3 se 6 month lag jaata hai 

prarambhik taiyari karne me : 1 week 

punji ki hissedari tay karne me : 4 - 5 week 

taiyar document ko exchange me jamaa karne me : 1 - 2 week

exchange me jaanch parkirya me : 2 - 3 week  

offer document ki taiyari me : 1 - 2 week

issu ki avadhi : 3 din ( nyunatam ) 

share alotment : 2 - 3 week 

SME platform par listing ke faayde

  1. chhoti va manjholi company ko equity ke madhyam se bazaar se punji uthaane aur apne vyavsay ko viksit karne ka mauka milta hai 
  2. niveshako ki sankhya me badotri hoti hai jisse future me secondry financing ke raaste khul jaate hai 
  3. bade paimaane par company ka parchar - parsaar hota hai, visibility badhti hai. 
  4. company ke employe ko insentive ke taur par stock option muhaiyaa karaane se unka manobal badta hai aur chhoti company bhi telented logo ko baahar se bulaa kar jod sakti hai. 
  5. caipital market risk transfer ka ek behtarin platform hai jo risk distribution ko kushalta se anjaam de sakta hai.         
punji badna (wealth maximization) : company ke sampati me ijaafa hota hai.

corporate governense ko badaava : ek vekti par company aashrit nahi rahti hai aur baahar se achchhe telent ko saath jodne ka mauka milta hai .

traditional se professional approach : company kisi ek praivaar par nirbhar nahi karta. traditional ke bajaay professional approach badh  jaate hai. 

anya laabh : behtar employe ko banaaye rakhne me suvidha, vyavasay se jude logo ko araam.

main board me parvesh karne ka mauka : 2 saal ke listing ke baad jab company ka paid up capital 10 crore ka ho, to use main board (sidhe stock exchange ) me suchibaddh hone ka avsar mil jaata hai iske liye nyunatam 500 share holders hone chaahiye.

niveshako ko laabh : achhe SME ke prarambhik daur me nivesh ka avsar uplabdh hota hai. jaari aakdo ke mutaabik SME ne apne investor ko ausatan 36% kaa laabh diyaa hai

                                 nse emerse

abtak 100 se adhik company suchibaddh hai 

kull market cap 7600 crore hai 

                                 BSE   SME 

abtak 218 company suchibaddh hai 

kul market cap 22736 crore hai  

inme se 43 company  badi companyo me tabdil ho chuki hai 



thank you so much dosto 

                                                                 
                                                                your freind Aslam Faruki 
SHARE

Aslam Faruki

Hi. I m Blogger of Amer private limited This Blog About on Business, Stock Market And Financial News Analysis, Social Awareness, Technology, Education tips And Tricks. knowledge things and new technology Inspired to make things looks better

    https://www.facebook.com/Aslamataamer
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment