Plastic Ki Jo Bottel Ham Pikar Fek Dete hai, Unse Bani Chije Deusre Desho Me 140 Se 1400 Rupay Me Bik Rahi Hai
![]() |
Business |
Salaana 100 Crore Ka Niryaat Ho Raha Hai, Udpado Ki Hotelo Me Khasi Maang
Jodhpur ke niryaatak West plastic bottels se Show lamp, Pratimay, Piggy box, Pen holders, Folders aur Gamle banaa rahe hai inki dusre Desho ke Five star hotels aur gharo me kafi dimaand hai Ab desh me bhi ye udpad kafi pasand kiye ja rahe hai
![]() |
Time For Change |
Pardushan ki sabse badi wajah ban chuki plastic ko thikane lagaane ke liye se bhale hi Duniya jujh rahi ho, par Rajasthan ke Jodhpur ne isme apne liye Aay ka jariyaa khoj liya hai jo bottels 15 - 20 rupay me kharidkar paani pine ke baad fek dete hai Jodhpur Handicrafts exportars un botalo se gifts aur decorative handicrafts ke samaan bana rahe hai in udpado ko we 2 se 20 dollor yani 140 se 1400 rupay me bech rahe hai is Industry ke Niryaat ka aakda salana karib 100 crore rupay me pahuch chuka hai west palstic ka dusra udpad Pet yarn bhi yahi taiyar ho raha hai Desh me sabse adhik Pet yarn Panipath me banta hai par iska udpadan west plastic se Jodhpur aur Jaipur me bhi ho raha hai isse Carpet aur Mat bhi banay jaate hai jo America aur Europian Desho ko niryaat kiye jaa rahe hai Pet yarn se bani chije ki khasiyat ye hai ki ye woolan se taiyar udpado ki tarah ghar ke andar aur bahar istemal ho sakte hai
![]() |
Plastic Ki Jo Bottel Ham Pikar Fek Dete hai, Unse Bani Chije Deusre Desho Me 140 Se 1400 Rupay Me Bik Rahi Hai |
Jodhpur Handicraft Exportars Association ke adhyachh Dr. Bharat Dinesh ne bataya ki Jodhpur ab tak purane kapdo, Kabad se laaye lohe ke items, purani gadiyo, Cycle, Railway ki purani patriyo, Riksha, Purani lakdiyo ke item, wa anya recycle udpado se samaan taiyar kar niryaat kar raha tha unhone bataya ki bite yaha ke udhmiyo ne west plastic se handicraft taiyar kar naye Eco freindly Industry khadi kardi hai yahaa ke niryaatko ki dachhata aur naye paryogo se udpad bana kar widesh bhi bheje jaa rahe hai iski wajah se yahaa ke udhogo ko Business, yuwaao ko rojgaar mil raha hai
Thank you so much Dosto
Your freind Aslam Faruki
0 comments:
Post a Comment