Everyday Jaisa Mood Waisi Chaay


Everyday Jaisa Mood Waisi Chaay
job-tips | business-tips | carrer-tips | type-of-tea | tea | coffee
Keep Posetive Thinking

Kabhi thakaan dur karne ke liye ek pyali chaay to kabhi mood thik karne ke liye tea break lete hai chhay pine ke bahane to bahut hai bahane hai to alag - alag mood ke liye chaay ki bahut saari veraity bhi hai jise pikar aap apni mood ko badal sakte hai isme mukhya hai Black tea, Jaismin, camomile, Papermint tea, Green tea shodh ki maane to Harbel tea me jaruri Asensiyal oil, Antioxident, Minerals hote hai jo mood par sidha parbhaw dalte hai isse mood tarotaja hota hai jab aap bhi apne alag - alag mood ke anusar sahi chaay piker relax ho sakte hai, aur aap is theme par apna khud ka Tea Business bhi kar sakte hai |

1. Subah ki taajgi ke liye
job-tips | business-tips | carrer-tips | type-of-tea | tea | coffee
Black Tea
Agar aap bhi subah uthakar chaay pine ka shauk rakhte hai to subah uthkar Black tea piye is chaay me paay jaane wale Thiyofilin tatwa Gurde, Hirday aur Fefdo ko active banay rakhte hai isse mood tarotaja hota hai aur isse kharab calostrall level kam hota hai jis vajah se dil se sambandhit bimaariya hone ka khatra kam ho jaata hai isse dhamniya bhi majbut hota hai aur sahi dhang se kaam karta hai |

2. Achhi Nind Ke Liye
job-tips | business-tips | carrer-tips | type-of-tea | tea | coffee
Levender Tea
Levender tea ko khaas uske khusbu ke liya jaana jata hai thakaan aadi ke wajah se agar aap sahi nind nahi le paa rahe hai to levender tea aapke liye ek ramban ka kaam karega yah blod sarculetion ko dhimaa kar deta hai aur narwas system active kar deta hai jis wajah se aap relax mehsus karte hai |


3. Depression Me Ho To
job-tips | business-tips | carrer-tips | type-of-tea | tea | coffee
Lemon Grass Tea
Lemon grass tea shehat ke liye bahut labhkaari mana gaya hai yah Antibecterial, Antifungal, Cancer wirodhi, Antidepresent guno se bharpur hota hai agar aap kisi baat ko lekar depression me hai aur baicheni mehsus ho rahi hai to antidepresent medicine lene ke bjay lemongrass tea piye yah calostrall ko kam karne ke saath hi Blood presure ko bhi niyantrit karta hai |

4. Traotaaja Hone ke Liye
job-tips | business-tips | carrer-tips | type-of-tea | tea | coffee
Ginger Tea
Adrak ki chaay sirf sardiyo me hi nahi har mausam me khaas hai yah aapke mood ko bust karne ke saath  aapke energy level ko bhi badhata hai Khus aur sakaratmak rahne ke liye Adrak, Dalchini, Laung aadi ki masala chaay bhi bana sakte hai Gusse ko kam karne ke liye Orange ya lemon tea piye iske khusbu aapke chit ko shant karne ke liye kaam karta hai |

5. Emotional wellness 
job-tips | business-tips | carrer-tips | type-of-tea | tea | coffee
Papermint Tea
Papermint / pudine ki chaay aaapke emotional wellness ko majbut banata hai aur aapko shant rakhta hai agar aap kisi baat ya anya karan se udaas hai to is chaay ko pikar aap behtar mehsus kar sakte hai yahi nahi yah pet me banane wale gais aur dard ko bhi khatm kar deta hai saath hi pachan kirya ko bhi sudharta hai |

6. Stress Aur Anxiety 
job-tips | business-tips | carrer-tips | type-of-tea | tea | coffee
Camomile Tea
Camomile tea stress aur enxity par sakaaratmak parbhaw dalta hai isme Antioxident hota hai jis karan yah sir dard ko dur karne me madadgaar hota hai iske niyamit sewan se depression aur bachaini ko bhi dur kiya ja sakta hai agar aapko koi chinta sata rahi hai to relax rahne ke liye yah tea behtar wikalp hai |

7. Bachaini Mehsus Ho To 
job-tips | business-tips | carrer-tips | type-of-tea | tea | coffee
Tart Cherry Tea

Agar aap kisi wajah se bachaini mehsus kar rahe ho to raahat paane ke liye yah tart cherry tea pi sakte hai yah chhay levendar tea ki tarah hi aapko relax karta hai bazaar me alag - lag flevor ke packet wali chay maujood hai aap ise apne ghar me bhi rakh sakte hai garm pani me ise daale aur dhire - dhire piye dekhiye mood aapka kaise badalta hai |

8. Wait Aur Sugger Kam Karna Ho To
job-tips | business-tips | carrer-tips | type-of-tea | tea | coffee
Green Tea

Green tea ko khaas uske khubiyo ke liye jana jata hai yah chaay kai parkar ke bimariyo par sakaratmak parbhaw dalta hai jaise wait kam karna, sugger, baal aur daat, blod presure, Anti cancer in saare rogo kam karta hai kafi labhkaari hai green tea is tea ke itne fayde hone ke karan hame normal chaay ke jagah green tea ka sewan karna chahiye |


Thank you so much Dosto

Your freind Aslam Faruki
SHARE

Aslam Faruki

Hi. I m Blogger of Amer private limited This Blog About on Business, Stock Market And Financial News Analysis, Social Awareness, Technology, Education tips And Tricks. knowledge things and new technology Inspired to make things looks better

    https://www.facebook.com/Aslamataamer
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment