![]() |
Idea - Plan - Action |
Purane Rules Ko Todkar New Rules Apnay Apne Carrrer Ko De Ek Nai Udaan
Ek Employe ke taur par kya aapke saath kabhi aisa huaa hai ki aapko kuchh alag karna ho kuchh jokhim uthane ho aur nai - nai chije aajmani ho lekin aap carrer ke rules se bandhkar rah gaye ho yadi aisa hai to aapko yah jaan lena chahiye ki duniya bhar me carrer ko lekar nai rules / dharnaye asthapit ho rahi hai jo purani rules se puri tahrah alag h agar aap kisi carrer m ko abhi bhi purani kasautiyo par parakh rahe hai to samay hai new kasautiyo / rules ko janane - samajhne ka.
Apne Carrer Ki Sidhiya Chandhne Ke Liye Na Kare Intejaar
Ab employers aise talented people ko hire karne ki tarjih de rahi hai jiske pass innovative thinking, creativity, faisla lene me nipunta, jokhim lene ka saahas ho yahi vajah hai ki kaabiliyat hone par carrer ki sidhiya chadhne ke liye varsho intejaar karne ki jarurat nahi hai agar aap kisi unchi past ke liye aply karne ki koshish kar rahe hai to turant aisa kijiye nahi to anyatha intejaar karte rahne ki stithi me aap khud ko nirasha, atress ki taraf dhakalne ke alawa kuchh nahi kar payege.
Aap 100% Qualified Naa Ho To Bhi Try Kare
Aap 100% Qualified Naa Ho To Bhi Try Kare
Employers ab jobs ke liye aise kam expiriensd logo ke saath bhi chances le rahe hai jo unhe yah yakin dilaa sake ve usme safalta praft kar sakte hai enterviwer ko bharosa dilaye ki aap me leadership, emotional inteligens, communication, negotiation, ya adecision - making skills hai agar unhe aisa laga ki aap bharosemand va imaandar hai to aakpe job pane ki puri sambhavnaye
Calculated Risk Uthane Se Nahi Dare
Calculated Risk Uthane Se Nahi Dare
Ek santushti - dayak carrer pane ke liye aapko calculated risk utnaane ki jarurat hoti hai yah baat entrepreneurs ke saath hi sabhi levels ke employes par bhi lagu hota hai inme ek company join karne ke 2 years baad hi dusri company join karna, growth ke mauke na dene wali comfortable jobs ko chhodhna, khud ka business shuru karne ke liye job se istifa dena, carrer change / passion ke liye kuchh kam salary vali jobs swikaar karna aadi shamil hai.
Apni Galtiyo Par Afsos karte Rahna Bana Deta Hai Unproductive
Aapse koi galti ho jaay to American business magnet Stive Jobs ki salah maante huye aajma sakte hai yah tip taki woh galti aapko unproductive na bana de Steve Jobs kahte hai kabhi - kabhar inovention karte huye aapse galtiya ho jaay to achchha yahi hai ki aap unhe swikaar kare aur apni anya inoventions behtar banane par hdyan de -Steve Jobs apni galtiyo par afsos karna ek unproductive task hai aur yah aapko anya mahtvapurn kaam karne se rokta hai research batati hai ki apni kamiyo, galtiyo va samasyao ke bare me sochte rahne se aapke mansik health par bura asar pad sakta hai agar aap kisi galti ke bare me kafi adhik soch rahe hai to is flow chart ko follow kare -
![]() |
Idea - Plan - Action |
- yah galti q haui hai
- agli baar kya alag ho sakta hai
- isse kya sikha ja sakta hai
Ant Me Aap Swaym Ko Kaise Dekhte Hai
Jim namak ek veykti mashhur radio show host tha woh lagbhag 20 years se yahi kaam kar raha tha uske sabhi dpst aur sahkarmi use is baatke liye jaante the ki woh jab bhi on air show karta tha, to shuit aur tai pahanta tha we us par hanste aur kahte ki tumhe koi nahi dekhta log sirf tumhari aawaj hi sunte hai fir bhi tum itna taiyar q hote ho par woh is baat ko majak me taal deta tha ek baar Jim ko ek tv show me aamantrit kiya gaya yah pahla mauka tha jab log Jim ko dekh sakte the show ki recording se pahle uske director Jim ke pass aaye aur puchha ki hamesha tum samay par aate par aaj 10 minute let aaye Jim ne kahaa mai jab taiyar ho gaya to aachanak dekha ki mere pass nay moje nahi hai naye moje lene stor chala gaya
director ne puchha tum binaa moje ke aa sakte the ham sirf tumhara closeup lete Jim ne kahaa yah koi nahi dekhta maine moje pahne ya nahi, meri shirt ki jeb me pen hai ya nahi lekin mujhe pata hai ki mai pura taiyar nahi hu mai khud aatm - visvaash / confidanse ke saath hamesha prastut karna chahta hu swyam ke liye.
Risk tab hota hai jabapko pata nahi hota ki aap kya kar rahe - Warren Buffett
Thank you so much dosto
Your freind Aslam Faruki
0 comments:
Post a Comment