2020 ki sabse pyari Holi

Holi khele raghuvira avadh me


hi dosto 
aap sabhi ko holi ki rangbhari shubhkamnaye 


Holi jo gulaal se manani ho to bhi manai ja sakti hai bilkul vaise hi jaise gile rango se manate the rang to ab bhi hai na saath 

2020 ki sabse pyari Holi

Bharat ka anupam parv hai holi jisme aam se khas tak rang aur raag ke ullas me dub jate hai log lekin afsos ki baat bas itni hai ki  hamare prithvi par 2030 tak 40% logo  ko saaf pani nasib nahi hoga  ek bhartiye report ke anusar 16 crore log pine ke saaf paani se dur , har saal 3.7 crore bimar aaj bhi karib 3.77 crore log har saal dusit paani ke istemaal se bimar padte hai

Aam aadmi ki majburi -  desh ke 17 lakh log gramin ilaako me se 78% me nyunatam jarurat bhar paani pahuchta hai 19 hajar se adhik gao me paani ka koi shrot nahi hai lagbhag 15 lakh bachche dast se akaal maut marte hai

jitna jayda ho sake jal ko bachaye jal hai to jivan hai


Desh par asar -
  pine ke paani ke karan bimar hone se 7.3 crore kary - divas  barbad hote hai inse economi ko har saal 39 arab rupay ka nukasaan hota hai

Aur paani ki barbadi -  mahanagro me volv ki kharabi ke karan 17 se 44% paani bekar hota hai


Holi khele raghuvira avadh me


Ji haa gulaal ki holi,
  holi me bhi huddang ho sakta hai suamyata, se salike ke saath sab afsos jatane lage hai ki ab holi pahle jaisi nahi rahi darasal  

Umang aur rango ka tyohar  holi aapssi katuta bhulakar jivan ka aanand lene ka sikh deta hai bharat ke har parv aur sanskriti se git sangit juda huaa hai bhojpuri ke paramparik holi gito me lok jivan vividh aayam dekhne ko milte hai shringar, bhakti se lakar aajadi ke tarane tak bhojpuri ke paramparik holi gito me sadiyo se gaye jaate rahe hai

Hamare krishi pardhan desh me har – parv  tyohar kahi n kahi krishi se sambandh rakhte hai vasanti parv holi bhi isse achhuta nahi hai

Gehu ki apni lah - lahaati  fasal ki jhumti baaliya dekh kisan bhi khushi se jhum uthte hai aur yeh khushi holi git ke rup me nikalti hai Bhojpuri ke paramparik holi gito ki vibhinna vidhae hai
Jinhe faguaa, dhamar, pahpat, jhumra, jogira, latka, chatni, aadi ke naamo se jaante hai sabhi vidhao me bhakti, shringar se lekar desh bhakti tak ke paramparik git gaye jaate hai

Pesh hai Kuchh chuninda Bhojpuri ke git

1-  khelab hori ho khelab aaj aihe mor     balamua
     jab re balamua tishaniya (station)       par aile ho
     achara se angana bahare gori ||
         
     2-  Ram khele holi lachhuman khele      holi |
      lanka gad me rawan khele holi ||


  •       3-  Bangla me udela abir abir aaho lala,
  • bangla me udela abir
  aahe babu kuvar singh tegva bahadur …|

isi bich ek ladke ka jogira bhi suniye

kalkatta se kal mangvani bambai se paani |
sarkari beta rail chalawe dhuaa ki nishani ||kaho haiya . haiya haiya….



thank you so much dosto

aapki jindagi abir - gulaal ki tarah rango aur khushbuo se mahakti rahe…


jitna jayda ho sake jal ko bachaye jal hai to jivan hai

                                                            
                                                                    your freind Aslam Faruki

SHARE

Aslam Faruki

Hi. I m Blogger of Amer private limited This Blog About on Business, Stock Market And Financial News Analysis, Social Awareness, Technology, Education tips And Tricks. knowledge things and new technology Inspired to make things looks better

    https://www.facebook.com/Aslamataamer
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment