Creative Technology Work Get A Success

Creative Technology Work Get  A Success 
job-tips | carrer-tips | business-tips | job-vacancy | #job | #carrer
 Time For Change 

Aaj - kal hamme se tamaam log bina yah soche kaam karte chale jaate hai ki unki taqat ya kamjori kya hai agar ham apni taqat jaan - kar usi sector me khud ko lagatar aage badhaane ka paryash kare to apekchha - krit adhik teji se tarakki ki raah par aage badh sakte hai apni taqat pahchaan kar safalta ki aur badhte chale, Youtube se le kar alag - alag Websites par hone wali video striming aur Online platform par movie clips ki badhti sankhya ne video editing ke sector me naye awsar creative kiye hai aise me visuals ki samajh rakhne wale creative yuwa video editing ke sector me apni khash pahchaan bana sakte hai ...

 Video Editing
Electronic midia, Entertainment aur Animation Industry ki growth ko dekhte huye video editing ek badhiya carrer vikalp sabit ho satka hai Filmo ke alaawa lagatar badhte TV channel aur unke kary - karmo aur online madhyamo ke lokpriya hone se video editor ki maang teji badh rahi hai isme na sirf achchha package, balki aapke liye kaam karne ke anek mauke bhi hai.

 Kya Hai Video Editing 
Kisi bhi raf video yani visual ko kalatmak drishti se presentable banana video editing kahlata hai achchhi story aur nirdeshan ke alawa video editing ki badaulat koi bhi tv show, wigyapan ya documentry film darshako ko baandhne ki chhamta rakhta hai viedo editor ka kary recorded viedo ko edit kar ek single refind video taiyar karna hota hai iske antargat sound track se lekar visuals ki editing tak shamil hai vaise yah video editor ki chhamta par nirbhar hai ki woh kaise shuting, recording aadi ke dauran bane raf video se matlab ki chij nikal kar use arthpurn bana sakta hai.

 Editing Ki Shrediya 
Video editing linior aur non linior do tarah ki hoti hai linior editing me ek tep se dusre tep par jaruri hisso ko copy kiya jaata hai wahi non - linior aur digital editing me computer technology ki madad se on screen edit hota hai yah adhik aasan aur lachila hai q - ki non linior editing me visuals ki editing softwares ke madhyam se kya jata hai isme samay ke saath - saath paise ka bhi bachat hota hai aaj iska hi paryog adhik hota yahi wajah hai ki edove primiar, final cut pro jaise professional editing softwares kaafi adhik lokpriya ho gaye hai.

 Shechhik Yogyata 
Haalaki video editing me carrer banane ke liye kisi wishesh shechhik yogyata ki jarurat nahi hai lekin digital video film me parshichhan lena jaruri rahega issse sambandhit course me admisssion ke liye 12th pass hona jaruri hai is feild me degree, diploma tatha short turms sertificat course uplabddh hai agar aap kisi tv channel me job chahte hai to graduate bhi hona hoga ab isme aapko online courses ki suwidhaa bhi milne lagi hai.

 Besik Skills 
Video editor banane ke liye sabse jaruri hai visuals ki samajh rakhna aapko kalpanashil wa technology se awgat rahna hoga nawinatam technology se awgat rahna achchha rahega nai - nai technology jananaa.

 Sambhaw - naaye 
Information, communication aur entertainment sector me ho rahe naye paryog ke madde najar video aur film editing me creative logo ka achchha dimand hai jo aapko ek nai awsar de aap Electronic ya Digital midea, production houses, film studios, web designing companyo me kaam kar sakte hai aap news portals ke alaawa travel aur anya company ka apna websites hota hai un par video stirming aur movie cliping load karne ke liye video editors ka jarurat hota hai aap chaahe to frilaans bhi kar sakte hai, Video editors ki salary uske experience aur creativity par nirbhar karta hai aise me professional har mahine 25 se 75 thousands / hajaar kamaate hai.

 Parmukh Sansthaan 
kuchh parsiddh Institutes hai jahaa se aap Video editing se related course kar sakte hai  kuchh parsiddh website link niche diya gaya hai jaha se aap click kar ke dekh sakte hai.
  
posative soch ke sath apni khubiyo ko janane ka paryas kare 
  pahchaan aapko bhi milegi khud par kaam kare... 



Thank you so much Dosto


Your freind Aslam Faruki

  
SHARE

Aslam Faruki

Hi. I m Blogger of Amer private limited This Blog About on Business, Stock Market And Financial News Analysis, Social Awareness, Technology, Education tips And Tricks. knowledge things and new technology Inspired to make things looks better

    https://www.facebook.com/Aslamataamer
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment