Jivan Ka Sabak | Khud Ko Kisi Mukhauto Me Chhipana Svay Ko Satya Se Dur Karne Jaisa Hai

Jivan Ka Sabak | Khud Ko Kisi Mukhauto Me Chhipana  Svay Ko Satya Se Dur Karne Jaisa  Hai

motivetion-story, motivetinal-speech, motivetional-qutes

Jivan Ka Sabak

Ssnskriti ke bazaar me sundar mukhaute hamesha aapko saste daamo par milte rahte hai lekin smaran rahe h ki sauda upar se sasta hai aapke liye lekin atant vahi sabse mahnga sauda siddha hota hai q ki jo veykti svay ko mukhaute me chhipata hai vah svay se aur satya se nirantar dur hota jaata hai satya ke aur uske bichh ek alanghya khai nirmit ho jaati hai. 

q ki uski aatma svay ke anawaran ke bhay se sadaa trast rahne lagta hai vah phir savay ko chhipaata hi chhala jaata hai vastro ke upar vastra aur mukhauto ke upar mukhaute dhaaran karte jaata hai asatya kabhi akela nahi aata hai asatya ki suraksha ke liye uski fauj bhi aati hai apne saath ahankar, laalach, dvesh ki bhavana har tarah ki burai saath laata hai asatya aur bhay phir aisa jaal ban jata hai ki aapko uske upar aankhe uthana bhi asambhaw ho jaata hai. 

veykti jab svay ke mukhaute uth jaane ke bhay se pidit ho jaata hai to vah satya ke patra ko khojne ka samarthya kahan se juta sakta hai vah vah to svay ko khojne ke saahas se pai ja sakti hai nishchay hi agar khud ko kamyaab dekhna chaahte ho to svay ko satya ke khoj me lagaa do varan baad me malaal rah jayega jisme saahas nahi hai vah satya ko kabhi khoj nahi sakta. 

sachchai ko svikaar kiye bina koi na to apne odhe huye rupo ko utar sakta hai aur na hi un mukhauto se mukt ho sakta hai jo suraksha ke liye usne pahan rakkhe hai kya suraksha ke lye ham jo nahi hai vahi bane huye hai yah hamari saari - sabhyta sanskriti kya hai ahankaari vinayi bana hai lobhi tyagi banaa hai shoshak daan karta hai hinsak ne ahinsak ke vastra pahan rakhe hai aur ghrina se bhare huye chitta prem ki bhasha bol rahe hai yah aatm vanchana bahut sugam bhi hai q ki naatako me abhinay kab kathin rahe hai. 

aapki jindagi me is chamkile sitaare ki ahmiyat chandrama se kahi jaayda hai chaand ko rup, prem aur sitalta ke rup me prastut kiya jaata hai lekin surya ko tej, parbhav aur sahkti ke rup me jaana jata hai Robert Adams ka ek kathan hai ki. Tumhare bhitar hajaro surya ki raushani hai | iske maayne hai ki khud ko pahchaan kar insaan apne parbhav ko kai guna badha sakta hai q ki har insaan ke andar iska saamarhty maujud hota hai.

mahaan chije ek chhan me nahi hoti, balki ye chhoti - chhoti chijo ki shrinkhla ka mel hota hai  jis tarah eklabhya ne dronachaarya ko man hi man guru man kar dhanu virdhaa me nipunta hasil kar li thi thik usi tarah khud ko jaan kar sahi kadam bada kar apne jindagi me uplabbh - ddhiya haasil kar sakte hai  aaj duniy bhar me kitne hi mahaan sakshiyato ne apne pratibha ka loha manva liya hai usi ek me aap bhi samil ho sakte h bas aap ek action le khud ki life me.


Jivan ka sabak ek short kahani sunata hu aapko, Kisi jamane me ek sant se ek veykti ne nivedan kiya ki mujhe jindagi ki koi nasiahat dijiye sant ne sawal kiya : kabhi bartan dhoye hai veykti ne hairan ho kar kahaa ji dhoye hai sant ne phir puchha bartan dhhone ke parkirya me kya hota hai tumne us parkirya se kuchh sikha veykti ko sawal samajh nahi aaya to usne koi jawab nahi diya sant muskuraye aur kaha bartan ko bahar se kam andar se jayda dhonaa padhta hai na bas yahi jindagi hai 

thank you so much dosto 

                                                             your freind Aslam Faruki 


SHARE

Aslam Faruki

Hi. I m Blogger of Amer private limited This Blog About on Business, Stock Market And Financial News Analysis, Social Awareness, Technology, Education tips And Tricks. knowledge things and new technology Inspired to make things looks better

    https://www.facebook.com/Aslamataamer
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment