Kuposad Ke Khilaf sakaratmak Pahal
hi dosto
hi dosto
aap sabhi se nivedan hai ki kuposad mukt samaaj banane me sakaratmak pahal kare
desh tabhi mahaan banta hai jab uske naagrik is disha me sochte hai mahanta ka arth badhi uplabdhi nahi varan vah har chhote - chhote kaam karna hai jisse samaaj aage bade jaise ki khane ki barbadi. jal ka durupyog. bijli ko bekar nahi karna. kuposad mukt samaj ka nirman karna paryavaran ko nast hone se bachana.
ye kadam chhote chhote hai lekin hame insaan banaate hai chinta ki baat hai is desh me kitne hi log bhukhe sote hai bharat me har din 244 crore rupay ka khana barbad hota hai
bharat me har tisra bachcha kuposit hai desh me 35.7 % bachche kam vajni hai 38.4 % avikshit hai aur har dusra bachcha khun ki kami se grast hai 15 se 49 varsh ki aayu ki 53 % mahilay rakt alpataa se pidit hai
ye aakde bharat me mahilao aur bachcho me kuposad ki bhayavah stithi ko rekhankit karte hai maa ka kuposad swta hi bachche par pratikul parbhav daalta hai vartamaan nitiyaa kuposad ke duschakra ko todne me safal nahi ho paa rahi hai darasal kuposad ke khilaf vartamaan paryas vibhinna sarkari yojnao par nirbhar hai
jinme madhyantar aahar yojna yani mid day mil aur ekikrit baal vikas sewae yani icds mukhya hai
![]() |
Bharat me roj kitne hi log bhukhe sote hai |
bharat me kitne hi log rojana ek time bhukhe sote hai
lekin aascharya ki baat hai jis desh me annajo ko devta ke rup me mana jata hai jabki desh me jaane kitne hi log bhukhe sote hai ek report ke mutabbik bharat me har din 244 crore rupay ka khana barabad hota hai jo salana ke hisaab se 88800 coroe rupay salaana hota hai aisa nahi ki bharat me kam anaaj paida hota hai jabki yah jaruratmando tak pahuch hi nahi pata
kya kahte hai aakde
225-230 milian tan bhojan ki jarurat har saal 270 milan tan khane ka utpadan 40 % anaaj utpadan ke baad nast 40% anaaj kheto se gharo tak nahi pahuch paata, yah kabhi kheto se mandi ke raste to kabhi mandi me hi voh sad jaata hai
kuposad se ladne ke upaay
vartamaan me hamare paas kai upaay hai jaise bachcho ke posad aur swasth ki istithi me sudhar karna , bachcho ke uchit mnauvegyanik , sharirik aur samajik vikash ki niv rakhne ke liye vibhinna nitiyo ke kary karna maa ko samanya swasth aur posad sambandhi jarurato ko pura karne ke liye jagruk karna
posad aur swasth siksha , tikakaran , swasth jachpadtal karana chahiye kuposad ka mukhya karan garibi aur parivar ki aay me kami hona ghar me mahilao ki samajik aur aarthik istithi kamjor hona aise me unhe jivika sikhane se unki istithi majbut hogi unhe apne bachche ke posad aur swasth ke liye faisla lene me aajadi hogi
ghar aur samaaj me maa ki stithi majbut hone se aane wali pidhi ke posad , swasth aur siksha par apne aap hi sakaratmak parbhav padega mahilao ko apna aahar aur posad chunane ki aajadi milegi
ve asthaniy bhaugolik jalwayu aur sanskritik aavashaktao ke anusar apna aahr aur posad chun sakegi jan swasth aur maa - bachche ke suposad kadam utha sakegi samaaj ko kuposad mukt banane ke liyae aam logo ka bhi sahyog hona chahiye aur apne taraf se bhi sakaratmak pahal karni hogi tabhi kuposad mukt desh banega
thank you so much dosto
your freind aslam faruki
0 comments:
Post a Comment